Tum rooth jayo mujh se,,,,Aisa kabhi na karna
Main teri ik nazar ko tarsoo,,,Aisa kabhi na karna

Main pooch pooch auro se so so sawal kar ke
Tum kuch jawab na do ,,,,Aisa kabhi na karna

Mujh se hi mil ke hansana,,,Mujh se hi mil ke rona
Mujh se bichad kar jee lo,,,,,Aisa kabhi na karna

Tum chand ban ke rehna main tumhe dekhta rahu ga
Tum kisi din na niklo ,,,,,,,,,,Aisa kabhi na karna

Tum chali jayo jab bhi to dekhu tumhara raasta
Tum lot ke na aao,,,,,,,,,,,,,,,,Aisa kabhi na karna