[JUSTIFY]
Chalo aaj baat krtay hain
guzray hoay kal ki
Chalo aaj yad kertay hain,
yadain bikhray hoay kal ki
Is sey pehlay k waqt guzar jaay
is sey pehlay k sham ho jaay
Is sey pehlay k sham ki tareeki
Hamaray Dilon per chaa jaay
Chalo aaj iqrar kertay hain
Chalo aaj baat krtay hain
Tumhari bay dharak hansi sey
Maira Dil dharak jata tha
Ik anjana sa khof
mairi Rooh main urt jata tha
Tumhari aankhon ki chamak
Ik nai daastan sunati thi
Tumhari adhori si batain
Mujey bohat satati thin
Chalo aaj iqrar kertay hain
Chalo aaj baat krtay hain
Na main badli,na waqt badla
Jaga bhi aaj wohi hai
Janay kuin aaj hamara sath
Faqat ik majbori hai
Wohi manzir,wohi yadain,wohi log,wohi batain
Phir bhi janay kuin,
hamaray beech sadion ki dori hai
Tumhain socha,tumhain samjha,
tumhain jana apna hi saya
Phir janay kab,kaisay palat gai,waqt ki kaya
Phir tumhara pas-e-perda chehra mairay samnay aya
Maira anjana khof mairay gum main badal aya
Tumhara wajod mairay samnay yoon anay laga
K mairi palkon ki nami ko aansoon main rulanay laga
Chalo aaj iqrar kertay hain
Chalo aaj baat krtay hain
rqabutt/DuA
[/JUSTIFY]
Bookmarks